apne hamrah jo aate ho idhar se pahle
dasht paDta hai miyan ishq mein ghar se pahle
chal diye uTh ke su-e-shahr-e-wafa ku-e-habib
puchh lena tha kisi KHak-basar se pahle
ishq pahle bhi kiya hijr ka gham bhi dekha
itne taDpe hain na ghabrae na tarse pahle
ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
raat Dhalti hi nahin chaar pahar se pahle
hum kisi dar pe na ThiTke na kahin dastak di
saikDon dar the meri jaan tere dar se pahle
chand se aankh mili ji ka ujala jaga
hum ko sau bar hui subh sahar se pahle
Ghazal
Apne hamrah jo aate ho idhar se pahle
Ibn e Insha