apne ghar se to chala tha main shikayat le kar
us ke ghar pahuncha magar us ki mohabbat le kar
ek ehsas-e-junun mujh ko liye jata hai
lauT aaega nai phir koi wahshat le kar
hijr kahte hain kise ye mujhe malum nahin
kya karunga main tujhe ai shab-e-furqat le kar
dil mein rahta hai koi jazba-e-sadiq ki tarah
koi aae to dikhawe ki mohabbat le kar
mera ghar hai ki farishton ka koi maskan hai
kya karunga main kisi aur ki jannat le kar
Ghazal
Apne ghar se to chala tha main shikayat le kar
Anvar Kaifi