apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai
jahan bhi jaun mera saya pichhe pichhe aata hai
us ko bhi to ja kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai
chup chup rah kar dukh sahne se to insan mar jata hai
mujh se mohabbat bhi hai us ko lekin ye dastur hai us ka
ghair se milta hai hans hans kar mujh se hi sharmata hai
kitne yar hain phir bhi 'munir' is aabaadi mein akela hai
apne hi gham ke nashshe se apna ji bahlata hai
Ghazal
Apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai
Muneer Niyazi