apne ghar ki khiDki se main aasman ko dekhunga
jis par tera nam likha hai us tare ko DhunDunga
tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dahliz pe rakhna
main bhi roz ek KHwab tumhaare shahr ki jaanib bhejunga
hijr ke dariya mein tum paDhna lahron ki tahriren bhi
pani ki har satr pe main kuchh dil ki baaten likhunga
jis tanha se peD ke niche hum barish mein bhige the
tum bhi us ko chhu ke guzarna main bhi us se lipTunga
KHwab musafir lamhon ke hain sath kahan tak jaenge
tum ne bilkul Thik kaha hai main bhi ab kuchh sochunga
baadal oDh ke guzrunga main tere ghar ke aangan se
qaus-e-quzah ke sab rangon mein tujh ko bhiga dekhunga
be-mausam barish ki surat der talak aur dur talak
tere dayar-e-husn pe main bhi kin-min kin-min barsunga
sharm se dohra ho jaega kan paDa wo bunda bhi
baad-e-saba ke lahje mein ek baat mein aisi puchhunga
safha safha ek kitab-e-husn si khulti jaegi
aur usi ki lai mein phir main tum ko azbar kar lunga
waqt ke ek kankar ne jis ko akson mein taqsim kiya
aab-e-rawan mein kaise 'amjad' ab wo chehra joDunga
Ghazal
Apne ghar ki khiDki se main aasman ko dekhunga
Amjad Islam Amjad