apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
main ki sadiyon se adhura hun mukammal kar do
na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuT ke chaho mujhe pagal kar do
tum hatheli ko mere pyar ki mehndi se rango
apni aankhon mein mere nam ka kajal kar do
is ke sae mein mere KHwab dahak uTThenge
mere chehre pe chamakta hua aanchal kar do
dhup hi dhup hun main TuT ke barso mujh par
is qadar barso meri ruh mein jal-thal kar do
jaise sahraon mein har sham hawa chalti hai
is tarah mujh mein chalo aur mujhe jal-thal kar do
tum chhupa lo mera dil oT mein apne dil ki
aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do
masala hun to nigahen na churao mujh se
apni chahat se tawajjoh se mujhe hal kar do
apne gham se kaho har waqt mere sath rahe
ek ehsan karo is ko musalsal kar do
mujh pe chha jao kisi aag ki surat jaanan
aur meri zat ko sukha hua jangal kar do

Ghazal
Apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
Wasi Shah