اردو हिंदी
Apne dushman hazar nikle hain | Shaahi Shayari
apne dushman hazar nikle hain

Ghazal

Apne dushman hazar nikle hain

Mohammad Yaqoob Aasi

;

apne dushman hazar nikle hain
han magar ba-waqar nikle hain

hum bhi kya baada-KHwar ho jaen
shaiKH to baada-KHwar nikle hain

ghar ka rasta na mil saka hum ko
ghar se jo ek bar nikle hain

chand bin chandni kahan hogi
go sitare hazar nikle hain

KHun-e-dil de ke jin ko sincha tha
naKHl sab KHar-dar nikle hain

band kuche ki dusri jaanib
raste be-shumar nikle hain

baad ek umr ki KHamoshi ke
misre sab zor-dar nikle hain

hum to samjhe the mast hain 'asi'
aap bhi hoshiyar nikle hain

koi kahta tha KHush hain 'asi-ji'
wo magar dil-figar nikle hain