apne dukhon ka hum ne tamasha nahin kiya 
faqe kiye magar kabhi shikwa nahin kiya 
be-ghar hue tabah hue dar-ba-dar hue 
lekin tumhaare nam ko ruswa nahin kiya 
go hum charagh-e-waqt ko raushan na kar sake 
par apni zat se to andhera nahin kiya 
is par bhi hum luTate rahe daulat-e-yaqin 
ek pal bhi jis ne hum pe bharosa nahin kiya 
us shaKHs ke liye bhi dua go rahe hain hum 
jis ne hamare haq mein kuchh achchha nahin kiya 
haalanki ehtiram sabhi ka kiya magar 
hum ne kisi ko qibla-o-kaba nahin kiya 
'tariq-matin' khate rahe umr-bhar fareb 
lekin kisi ke sath bhi dhoka nahin kiya
        Ghazal
Apne dukhon ka humne tamasha nahin kiya
Tariq Matin

