apne badan ko chhoD ke pachhtaoge miyan
bahar hawa hai tez bikhar jaoge miyan
KHud ko lapeTe rahna zamana KHarab hai
zahir kiya to luT liye jaoge miyan
jhuTon ki bargah baDi mo'atabar sahi
lekin parae shahr mein kho jaoge miyan
phisla jo pair soch ki unchi chaTan se
gadli faza mein ghulte chale jaoge miyan
mujh ko to la-shuur ka irfan ho gaya
ab socho mujh se bach ke kahan jaoge miyan
Ghazal
Apne badan ko chhoD ke pachhtaoge miyan
Intikhab Syed