apne apne rang mein yakta main hi main hun tu hi tu hai
husn ki murat ishq ka putla main hi main hun tu hi tu hai
duniya se kya matlab mujh ko aalam se kya tujh ko talluq
mera dilbar tera shaida main hi main hun tu hi tu hai
chal kar phir kar dekha bhaala jaancha parkha samjha bujha
sab se aala sab se adna main hi main hun tu hi tu hai
zulm se rakkhe kaam hamesha dawe karta jae wafa ka
kaun zamane mein hai aisa main hi main hun tu hi tu hai
KHun-e-jigar se qaul raha ye mere ashk-e-chashm-e-tar ka
chaDhta dariya bahta dariya main hi main hun tu hi tu hai
tu hi tu hai main hi main hun aalam mein aalam se nirala
duniya mein duniya se anokha main hi main hun tu hi tu hai
dil na tujhe lena tha mujh se jaan mujhe deni thi na tujh par
kaisa duniya bhar mein ruswa main hi main hun tu hi tu hai
kaisi azra kaisi laila kaisa wamiq kaisa majnun
ab mashhur jahan mein kya kya main hi main hun tu hi tu hai
yun to hain mashuq hazaron yun to hain lakhon aashiq bhi
lekin behtar nadir-e-yakta main hi main hun tu hi tu hai
'nuh' ye baaten miT jaengi tere mere miT jaane se
chahne wala ishq-o-wafa ka main hi main hun tu hi tu hai
Ghazal
Apne apne rang mein yakta main hi main hun tu hi tu hai
Nooh Narvi