apna to ye kaam hai bhai dil ka KHun bahate rahna
jag jag kar in raaton mein sher ki aag jalate rahna
apne gharon se dur banon mein phirte hue aawara logo
kabhi kabhi jab waqt mile to apne ghar bhi jate rahna
raat ke dasht mein phul khile hain bhuli-bisri yaadon ke
gham ki tez sharab se un ke tikhe naqsh miTate rahna
KHushbu ki diwar ke pichhe kaise kaise rang jame hain
jab tak din ka suraj aae us ka khoj lagate rahna
tum bhi 'munir' ab un galiyon se apne aap ko dur hi rakhna
achchha hai jhuTe logon se apna-ap bachate rahna
Ghazal
Apna to ye kaam hai bhai dil ka KHun bahate rahna
Muneer Niyazi