apna saya dekh kar main be-tahasha Dar gaya
hu-ba-hu waisa laga jo mere hathon mar gaya
halke se husn-e-tabassum ka bhi andaza hua
bojh sare din ka le kar jab main apne ghar gaya
phal lade us peD par phir paD gaya pahra kaDa
pattiyon ko chumta jab san se ek patthar gaya
kuchh makinon mein ajab tabdiliyan pai gain
us baDi building mein jab kuchh rose wo rah kar gaya
tiliyon ki saKHt-jaani aur meri jidd-o-jahd
phir kahan parwaz ki KHwahish rahe jab par gaya
apni aazadi pe main ek chor ka mashkur hun
pair jis chadar mein phailata tha wo le kar gaya

Ghazal
Apna saya dekh kar main be-tahasha Dar gaya
Shamim Anwar