apna saya bhi na ham-rah safar mein rakhna
puKHta saDken hi faqat rahguzar mein rakhna
ghair-mahfuz samajh kar na ghanim aa jae
dosto! main na sahi KHud ko nazar mein rakhna
kahin aisa na ho main hadd-e-KHabar se guzrun
koi aalam ho mujhe apni KHabar mein rakhna
aaina TuT ke bikhre to kai aks mile
ab hathauDa hi kaf-e-aina-gar mein rakhna
mashghale kibr-sini mein wahi bachpan wale
kabhi taswiren kabhi aaine ghar mein rakhna
bahte dariyaon ko sahil hi se takte rahna
aur jalte hue ghar dida-e-tar mein rakhna
koi to aisa ho jo tum ko bachae tum se
koi to apna bahi-KHwah safar mein rakhna
koi bhi chiz na rakhna ki taaqub mein hain log
apni miTTi hi magar dast-e-hunar mein rakhna
jangalon mein bhi hawa se wahi rishta 'aKHtar'
shahr mein bhi yahi sauda mujhe sar mein rakhna
Ghazal
Apna saya bhi na ham-rah safar mein rakhna
Akhtar Hoshiyarpuri