apna har uzw chashm-e-bina hai
is qadar intizar tera hai
jo hai mahbub tera shaida hai
yusuf aage teri zuleKHa hai
ek mah-ru baghal mein sota hai
aasman par dimagh apna hai
KHak mein jo mila diya mujh ko
aasman ne zamin ko saunpa hai
kis ne chehre se baal sarkae
sham ko subh aashkara hai
ustuKHwan tak kabhi guzar na kiya
mere haq mein huma bhi anqa hai
tere qadmon pe kyun na qais gire
naqsh-e-pa rashk-e-ru-e-laila hai
in dinon ai masih-e-dam tujh par
dam nikalta hai dam nikalta hai
taulun us sim-tan ko nazron mein
ye mera jism-e-zar kanTa hai
husn-e-KHuban hilal-o-badr ki tarah
kabhi kam hai kabhi ziyaada hai
us bayaban mein le gai wahshat
mah-e-nau jis ka ek kanTa hai
dil mein rahta hai us kamar ka KHayal
kya ye anqa ka aashiyana hai
aao aankhon mein ek dam Thahro
putliyon ka yahan tamasha hai
kaf-e-pa bhi na hum ko dikhlae
barhaman hath dekh jata hai
yar nam-e-KHuda hai kashti mein
naKHuda aaj par beDa hai
tera naqsh-e-qadam zamin pe nahin
aasman par koi sitara hai
hum se tum dushmani lage karne
dosti ab nasib-e-ada hai
kah rahe hain shab-e-firaq mein hum
aaj kis ko umid-e-farda hai
KHar chubh kar jo TuTta hai kabhi
aabla phuT phuT rota hai
aankhen nargis hain ruKH hai gul qad sarw
tu to ai gul chaman sarapa hai
kaam poshak se nahin hum ko
aib-poshi hamara shewa hai
de sulaiman ki us pari ko qasam
is tarah shishe mein utara hai
zulf ne naqd-e-dil kiye hain jama
ab to ye sanp koDyala hai
pahunche hain gor ke kinare hum
hum se ab tak tumhein kinara hai
jurm 'goya' ke baKHshwa dena
ya-mohammad faqir tera hai
Ghazal
Apna har uzw chashm-e-bina hai
Goya Faqir Mohammad