اردو हिंदी
Apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga | Shaahi Shayari
apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga

Ghazal

Apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga

Zehra Nigaah

;

apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga
kitne din ke baad mujh ko aaina achchha laga

sara aaraish ka saman mez par sota raha
aur chehra jagmagata jagta hansta laga

malgaje kapDon pe us din kis ghazab ki aab thi
sare din ka kaam us din kis qadar halka laga

chaal par phir se numayan tha dil-awezi ka zoam
jis ko wapas aate aate kis qadar arsa laga

main to apne aap ko us din bahut achchhi lagi
wo jo thak kar der se aaya use kaisa laga