apna ghar chhoD ke hum log wahan tak pahunche
subh-e-farda ki kiran bhi na jahan tak pahunche
main ne aankhon mein chhupa rakkhe hain kuchh aur charagh
raushni subh ki shayad na yahan tak pahunche
be-kahe baat samajh lo to munasib hoga
is se pahle ki yahi baat zaban tak pahunche
tum ne hum jaise musafir bhi na dekhe honge
jo bahaaron se chale aur KHizan tak pahunche
aaj pindar-e-tamanna ka fusun TuT gaya
chand kam-zarf gile nok-e-zaban tak pahunche
Ghazal
Apna ghar chhoD ke hum log wahan tak pahunche
Iqbal Azeem