اردو हिंदी
Apna dil pesh karun apni wafa pesh karun | Shaahi Shayari
apna dil pesh karun apni wafa pesh karun

Ghazal

Apna dil pesh karun apni wafa pesh karun

Sahir Ludhianvi

;

apna dil pesh karun apni wafa pesh karun
kuchh samajh mein nahin aata tujhe kya pesh karun

tere milne ki KHushi mein koi naghma chheDun
ya tere dard-e-judai ka gila pesh karun

mere KHwabon mein bhi tu mere KHayalon mein bhi tu
kaun si chiz tujhe tujh se juda pesh karun

jo tere dil ko lubhae wo ada mujh mein nahin
kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karun