apna apna rang dikhlati hain jaani chuDiyan
aasmani arghawani zafrani chuDiyan
ek zara rang-e-nazakat bhi rahi madd-e-nazar
dhan-pan ai jaan tum ho pahno dhani chuDiyan
dagh kha kha kar hazaron dil lahu ho ho gae
kal khuli pahnin jo tum ne arghawani chuDiyan
hath khinche kyun na aaraish se wo nazuk badan
said-e-nazuk pe karti hain girani chuDiyan
aashiqon ke zaKHm ro ro kar lahu hans hans paDen
mehndi malti ho to pahno zafrani chuDiyan
rang mehndi ka teri dast-e-nigaran mein nahin
kar rahi hain ai pari aatish-fishani chuDiyan
dekhne wale tumhaare dil bachaen kis tarah
aafat-e-jaan tum bala-e-nagahani chuDiyan
mere matam mein utarin aa ke meri qabr par
de gai yun mujh ko wo apni nishani chuDiyan
chaar din aaraishon se hath uThana chahiye
sog mein aashiq ke lazim hain baDhani chuDiyan
id ko hai nazninon sehat-e-'nazim' ka jashn
hon nai aaraishen utren purani chuDiyan
Ghazal
Apna apna rang dikhlati hain jaani chuDiyan
Syed Yusuf Ali Khan Nazim