اردو हिंदी
Apna apna dukh batlana hota hai | Shaahi Shayari
apna apna dukh batlana hota hai

Ghazal

Apna apna dukh batlana hota hai

Iliyas Babar Aawan

;

apna apna dukh batlana hota hai
miTTi se taswir mein aana hota hai

meri subh zara kuchh der se hoti hai
mujhe kisi ko KHwab sunana hota hai

nae nae manzar ka hissa banta hun
jaise jaise jism purana hota hai

ek chiDiya mujh se bhi pahle uThti hai
jaise us ko daftar jaana hota hai

yar kitaben kitni jhuTi hoti hain
in mein koi aur zamana hota hai

ghar ke andar itni galiyan paDti hain
kabhi-kabhaar hi bahar jaana hota hai