un se hum lau lagae baiThe hain
aag dil mein dabae baiThe hain
wo jo gardan jhukae baiThe hain
hashr kya kya uThae baiThe hain
tere kuche ke baiThne wale
apni hasti miTae baiThe hain
zor bal uf-re is nazakat par
KHalq ka dil dukhae baiThe hain
kyun uThin un ki bazm se aghyar
rang apna jamae baiThe hain
kuchh nahin KHak-e-dasht-e-ulfat mein
hum bahut KHak uDae baiThe hain
hum nahin aap mein KHushi se ki wo
ghar mein mehman aae baiThe hain
kyun na phailaen paon bazm mein ghair
aap ke sar chaDhae baiThe hain
jang-ju wo milap mein bhi rahe
mujh se aankhen laDae baiThe hain
dil ke khoTe hain sab ye sim-andam
KHub hum aazmae baiThe hain
husn-e-nazara-soz hai parda
go wo parda uThae baiThe hain
us ki aariz se ru-kashi kaisi
gul pe hum KHar khae baiThe hain
jite hain nam ko wagarna hum
ishq mein ji khapae baiThe hain
haar dekha bhi KHun-e-ashiq ka
aap aur sar jhukae baiThe hain
kyun ki bigDa hua unhen kahiye
bigDe aur munh banae baiThe hain
ji churana aur us pe hae sitam
aap aankhen churae baiThe hain
sharam bhi ek tarah ki chori hai
wo badan ko churae baiThe hain
jo ki baiThe hain un ki pesh-e-nigah
maut aane ki jae baiThe hain
dekh saqi ko apne dariya-dil
zarf-e-mai-kash baDhae baiThe hain
us ke dar se laga ke maqtal tak
jaan fida jae jae baiThe hain
ghair baaton se aur hum aankhon se
ek tufan uThae baiThe hain
hai ye raushan ki hai hijab mein chand
aap kya munh chhupae baiThe hain
is KHushi mein hina lagate hain
ki mera KHun bahae baiThe hain
jaanta hun ki qatl par mere
aap beDa uThae baiThe hain
mere dil soz ban ke yar mere
muft ji ko jalae baiThe hain
kya sikhaega un ko zulm-e-falak
KHud wo sikhe-sikhae baiThe hain
hai jahan is se faizyab 'anwar'
jis ke dar par hum aae baiThe hain
Ghazal
Un se hum lau lagae baiThe hain
Anwar Dehlvi