aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath
matlab ada wo karte hain aur kis ada ke sath
shoKHi nigah ke sath taghaful jafa ke sath
ushshaq par hujum-e-bala hai bala ke sath
aaKHir hua na zabt shab-e-wasl muddai
nala nikal gaya meri lab se dua ke sath
tere sitam se mujh ko mila mansab-e-kalim
ek wajh-e-guftagu nikal aai KHuda ke sath
tera hijab uThte hi aaya wo na-gahan
dushman ke paon khul gae band-e-qaba ke sath
mein kya ki dushmanon ki bhi qismat ulaT gai
tirchhi adaen aur teri banki ada ke sath
rah-e-talab mein shauq ki manzur hai numud
miTte qadam qadam pe chale rahnuma ke sath
yarab ghalat ho fahm-e-kaj-andesh ka guman
kuchh kah raha hai in se adu iltija ke sath
dete nahin kisi ko pata apne haal ka
begana ban ke chalte hain har aashna ke sath
mai be-talab mili to hui yar ki talab
bandon ke naz bhi hain nirale KHuda ke sath
josh-e-qalaq mein dekhiye kya mangta hun main
yaron ke dam nikalte hain meri dua ke sath
ghar se mujhe nikalte rahiye par is tarah
gah muddai ke sath gahe muddaa ke sath
kyun shauq mein giraiye sath apne shan-e-ishq
aghmaz bhi zarur hai kuchh iltija ke sath
kahta hun ye nasib na dushman ko ho firaq
aa main wo kahte jate hain meri dua ke sath
laila ka nam zinda hai ab tak jahan mein
tum bhi nibah do kisi ahl-e-wafa ke sath
phirte hi us ki aankh ke wabasta-tar hawa
main dil ke sath dil nigah-e-fitna-za ke sath
hum aalam-e-KHayal mein kuchh bhi na KHush hue
hai rashk-e-ghair yaad-e-lab-e-jaan-faza ke sath
ab to baDa KHayal teri ranjishon ka hai
mahshar mein dekh lenge KHuda ki KHuda ke sath
kahta hai Dar ke hath wafa se uTha liya
dushman ki baat ban gai meri dua ke sath
aata hai bu-e-dost mein kafir basa hua
qasid bhi ek raqib hai apna saba ke sath
kya DhunDhte ho dahr mein 'anwar' jamal-e-dost
chande phiro chalo kisi mard-e-KHuda ke sath
Ghazal
Aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath
Anwar Dehlvi