nazar aae kya mujh se fani ki surat
ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat
bana hun wo main na-tawani ki surat
ghazab hi khichi be-nishani ki surat
KHamoshi jo hai jqtiza-e-tabiat
to un ko mili be-dahani ki surat
nazar aae kya jalwa-e-husn baqi
ki parda hai duniya-e-fani ki surat
tum aur zikr-e-aghyar par chup rahoge
kahe deti hai be-dahani ki surat
hamare gale par to chalti dikhao
kahan tegh mein hai rawani ki surat
qayam apna us kucha mein pa-bigul hai
mile KHak mein hum to pani ki surat
gudaz-e-dil-e-tishna ka man ghazab hai
wo KHanjar na bah jae pani ki surat
barabar hai yahan bud-o-nabud apni
nishan hai mera be-nishani ki surat
araq-e-sharm se KHaksari mein hun main
hua KHak bhi main to pani ki surat
jo puchho to us chashm ka dekhna hai
wo hai gardish aasmani ki surat
Duboya mujhe aab mein sharm se wo
khaDe hain mere sar pe pani ki surat
numud apni waqe mein kuchh bhi nahin hai
yahan KHwab hai zindagani ki surat
wo dil ru-numai mein lete hain pahle
dikhate hain jab jaan-sitani ki surat
mujhe kushta dekha to qatil ne puchha
yaqin hai yahan bad-gumani ki surat
paDe mar ke miTne ko hum Thokaron mein
magar kaT gai zindagani ki surat
zaban par hai qasid ki apni rasai
hua hun payam zabani ki surat
mujassam hi mauhum aane mein un ke
nazar aati hai zindagani ki surat
tere wade par zist hai marg apni
bahut hi baDhi na-tawani ki surat
wo is shakl se meri baalin pe aae
ki ek aafat aasmani ki surat
nazar ban ke phirti hai aankhon mein apni
kisi aalam-e-naujawani ki surat
na ho rashk to kijiye wahan madh-e-dushman
ki hai yar ki raaz-dani ki surat
mujhe dekho aur us ke wade pe jina
ye hai zinda-e-jawedani ki surat
wahan bad-gumani ki tarif kya ho
yaqin ho jahan bad-gumani ki surat
nazar-soz wo ruKH wo inkar behad
magar hain wo ek lan-tarani ki surat
dikhate hain wo raKH se yun naz pinhan
ki alfaz jaise maani ki surat
yahan kya samai dam-e-tegh qatil
ki nazron mein hai saKHt jaani ki surat
jo naqsh-e-fana hon to wo dil pe 'anwar'
khinchi aur ek bad-gumani ki surat
Ghazal
Nazar aae kya mujhse fani ki surat
Anwar Dehlvi