اردو हिंदी
Ashk betab wa nigah be-bak wa chashm-e-tar KHarab | Shaahi Shayari
ashk betab wa nigah be-bak wa chashm-e-tar KHarab

Ghazal

Ashk betab wa nigah be-bak wa chashm-e-tar KHarab

Anwar Dehlvi

;

ashk betab wa nigah be-bak wa chashm-e-tar KHarab
chashm-e-bina se agar dekho to ghar ka ghar KHarab

girya be-tasir o fariyaad-e-dil-e-muztarib KHarab
kar-e-ishq-o-ashiqi naqis tamam aksar KHarab

ek hamara nam jo pahunche na teri bazm tak
ek hamari KHak hai jo phirti hai dar dar KHarab

hai adab se nutq band ab kya bayan ho muddaa
pahle hi yahan ho chuka guftar ka daftar KHarab

dil KHarab aur sab hawa-o-hirs-e-dil bekar hai
hai faza-e-dahr mein haal-e-but-o-but-gar KHarab

jaan hi jati hai guftar-e-shakar-alud par
bul-hawas se niyyat-e-ashiq hai kuchh baDh kar KHarab

shab-e-adu ke sath din ko mujh se chhupte phirte ho
al-gharaz phirte ho yun hi raat-bhar din-bhar KHarab

dil KHarabaat-e-mughan se hum uTha sakte nahin
ho gae is KHak-dan mein chaar din rah kar KHarab

phoDna sar ka hi aa Thahra to lakhon sang hain
kijiye kyun aastan-e-yar ka patthar KHarab

jo muqabil mein bala aae wo maujud us mein hai
dil hua apna safa se aaina ban kar KHarab

ek sanam ke hath bik jata na phirta dar-ba-dar
but-faroshi se hua hai kis qadar aazar KHarab

lutf-e-saqi aam tha par wa-e-baKHt andalib
jam-e-gil bekar nikla saghar-e-abhar KHarab

mere dil mein ek dam aate nahin misl-e-murad
ho gae aghyar ki aankhon mein tum rah kar KHarab

tum kisi wada se phir jao ki ho jaun tamam
ho agar phirne mein mere halq par KHanjar KHarab

munharif hum dekhte hain kuchh nigah-e-tez tez
kis rag-e-jaan se hua hai ye sar-e-nashtar KHarab

aarzu-e-qatl bar aai to kya bar aai KHak
kuchh yahan qismat buri kuchh wahan dam-e-KHanjar KHarab

yun KHarabaat-e-mughan bhi hai KHarab-e-rozgar
lekin us se bhi hai kuchh tera dil-e-'anwar' KHarab