اردو हिंदी
Anjaane logon ko har su chalta phirta dekh raha hun | Shaahi Shayari
anjaane logon ko har su chalta phirta dekh raha hun

Ghazal

Anjaane logon ko har su chalta phirta dekh raha hun

Asrar Zaidi

;

anjaane logon ko har su chalta phirta dekh raha hun
kaisi bhiD hai phir bhi KHud ko tanha tanha dekh raha hun

diwaron se rauzan rauzan kya kya manzar ubhre hain
suraj ko bhi dur ufuq par jalta bujhta dekh raha hun

jis ko apna rup diya aur jis ke har dam KHwab bune
kab se main us aane wale kal ka rasta dekh raha hun

subhon ki peshani par ye kaisi siyahi phaili hai
apni ana ko har lamhe suli par chaDhta dekh raha hun

aaine mein kya dekhun jab har chehra aaina hai
us ka chehra dekh raha hun apna chehra dekh raha hun