anjam har ek shai ka ba-juz KHak nahin hai
kya hai jo ye aalam KHas-o-KHashak nahin hai
kah do wo sata kar mujhe be-fikr na baiThen
mere hi liye gardish-e-aflak nahin hai
aankhon se har ek parda-e-mauhum haTa de
itni nigah-e-shauq abhi chaalak nahin hai
kar chaak-e-gareban se na andaza-e-wahshat
diwane abhi daman-e-dil chaak nahin hai
'simab' dua kijiye kya sabr-o-sukun ki
shaista-e-taskin dil-e-ghamnak nahin hai
Ghazal
Anjam har ek shai ka ba-juz KHak nahin hai
Seemab Akbarabadi