اردو हिंदी
Anjam-e-intiha-e-safar dekhte chalen | Shaahi Shayari
anjam-e-intiha-e-safar dekhte chalen

Ghazal

Anjam-e-intiha-e-safar dekhte chalen

Rahber Jaunpuri

;

anjam-e-intiha-e-safar dekhte chalen
ab ganw aa gae hain to ghar dekhte chalen

guzre nahin hain hum bhi kabhi is dayar se
kaisa hai KHwahishon ka nagar dekhte chalen

phir ehtimam-e-marka-e-marg-o-zist hai
teghon se khelte hue sar dekhte chalen

sahil pe sahme sahme zamana guzar gaya
dariya ka aaj zer-o-zabar dekhte chalen

jin qatilon ka shahr mein charcha hai in dinon
ji chahta hai un ka hunar dekhte chalen

fursat kahan hai utni ki tafsil se paDhen
aKHbari surKHiyon mein KHabar dekhte chalen