اردو हिंदी
Andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai | Shaahi Shayari
andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai

Ghazal

Andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai

Khushbir Singh Shaad

;

andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai
main jugnu hun mujhe ek shab ki virani mein rahna hai

abhi kuchh zabt ka yara meri aankhon mein baqi hai
abhi ashkon ko palkon ki nigahbani mein rahna hai

jo manzar ru-ba-ru hai dekh lun ek bar ji bhar ke
phir is ke baad to aankhon ko hairani mein rahna hai

teri wahshat samajhta hun ai meri aarzu lekin
tujhe kuchh din abhi is dil ki virani mein rahna hai

tu phir kyun lauT kar har bar aa jati hain sahil par
agar in kashtiyon ko umr bhar pani mein rahna hai

isi ummid par to kaT lin ye mushkilen hum ne
ab is ke baad to ai 'shad' aasani mein rahna hai