andheri shab hai kahan ruTh kar wo jaega
khula rahega agar dar to lauT aaega
jo ho sake to use KHat zarur likha kar
tujhe wo meri tarah warna bhul jaega
bahut dabiz hui ja rahi hai gard-e-malal
na jaane kab ye dhulegi wo kab rulaega
lage hue hain nigahon ke har jagah pahre
kahan mata-e-sukun ja ke tu chhupaega
use bhi chahiye ek jism aur mujhe pani
isi liye wo samundar mujhe bulaega
abhi ye sham ka manzar bahut hasin hai 'shamim'
Dhalegi raat to aa kar yahi Daraega
Ghazal
Andheri shab hai kahan ruTh kar wo jaega
Shamim Farooqui