اردو हिंदी
Andhere mein tajassus ka taqaza chhoD jaana hai | Shaahi Shayari
andhere mein tajassus ka taqaza chhoD jaana hai

Ghazal

Andhere mein tajassus ka taqaza chhoD jaana hai

Ashar Najmi

;

andhere mein tajassus ka taqaza chhoD jaana hai
kisi din KHamushi mein KHud ko tanha chhoD jaana hai

samundar hai magar wo chahta hai Dubna mujh mein
mujhe bhi us ki KHatir ye kinara chhoD jaana hai

bahut KHush hun main sahil par chamakti sipiyan chun kar
magar mujh ko to ek din ye KHazana chhoD jaana hai

tulu-e-subh ki aahaT se lashkar jag jaega
chala jae abhi wo jis ko KHema chhoD jaana hai

na jaane kab koi aa kar meri takmil kar jae
isi ummid pe KHud ko adhura chhoD jaana hai

kahan tak KHak ka paikar liye phirta rahunga main
use barish ke mausam mein nihatta chhoD jaana hai