andhere ke taaqub mein kai kirnen laga dega
wo andha daw par ab ke meri aankhen laga dega
musalsal ajnabi chapen agar galiyon mein utrengi
wo ghar ki khiDkiyon par aur bhi meKHen laga dega
fasil-e-sang ki tamir par jitna bhi pahra ho
kisi kone mein koi kanch ki inTen laga dega
main is zarKHez mausam mein bhi KHali hath lauTa to
wo kheton mein qalam kar ke meri bahen laga dega
wo phir kah dega suraj se sawa neze pe aane ko
kaTe peDon pe pahle mom ki belen laga dega

Ghazal
Andhere ke taaqub mein kai kirnen laga dega
Rafiq Sandelvi