andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai
kisi ka dhyan aata hai ujala hone lagta hai
wo jitni dur ho utna hi mera hone lagta hai
magar jab pas aata hai to mujh se khone lagta hai
kisi ne rakh diye mamta-bhare do hath kya sar par
mere andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai
mohabbat chaar din ki aur udasi zindagi bhar ki
yahi sab dekhta hai aur 'kabira' rone lagta hai
samajhte hi nahin nadan kai din ki hai milkiyyat
parae kheton pe apnon mein jhagDa hone lagta hai
ye dil bach kar zamane bhar se chalna chahe hai lekin
jab apni rah chalta hai akela hone lagta hai
Ghazal
Andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai
Waseem Barelvi