andhera sa kya tha ubalta hua
ki phir din Dhale hi tamasha hua
yahin gum hua tha kai bar main
ye rasta hai sab mera dekha hua
na dekho tum is naz se aaina
ki rah jae wo munh hi takta hua
na jaane pas-e-karwan kaun tha
gaya dur tak main bhi rota hua
kabhi aur kashti nikalenge hum
abhi apna dariya hai Thahra hua
jahan jao sar par yahi aasman
ye zalim kahan tak hai phaila hua
Ghazal
Andhera sa kya tha ubalta hua
Ahmad Mahfuz