andeshon ke shahr mein rahna teri meri aadat hai
mahrumi ke sadme sahna teri meri aadat hai
armanon ki nazuk malaen pahnana shamon ko
yaad pawan ke sath hi bahna teri meri aadat hai
KHub sulagte jaana barfile lamhon ke sayon mein
dukh ka ek bhi lafz na kahna teri meri aadat hai
KHwabon se bahlana dil ko ho jaana behad masrur
logon ki tabiren sahna teri meri aadat hai
subh irade din tadbiren sham KHalish aur shab tashwish
har haalat mein zinda rahna teri meri aadat hai
qurb-e-'qaisar' be-bas hona duri ka sah lena rog
jine ki rudad na kahna teri meri aadat hai

Ghazal
Andeshon ke shahr mein rahna teri meri aadat hai
Qaisar Qalandar