ana se dekho kitna bhar gae hain
to kya hum zindagi se Dar gae hain
mere andar liya karte hain sansen
wo sare log jo ab mar gae hain
hum ab jaen yahan se bhi to kaise
abhi aate hain wo kah kar gae hain
abhi mumkin nahin milna KHuda se
abhi to shaiKH sahab ghar gae hain
tumhein parhez hai to mat karo ishq
jinhen karna tha wo to kar gae hain

Ghazal
Ana se dekho kitna bhar gae hain
Rajneesh Sachan