اردو हिंदी
Ana ko KHud par sawar maine nahin kya tha | Shaahi Shayari
ana ko KHud par sawar maine nahin kya tha

Ghazal

Ana ko KHud par sawar maine nahin kya tha

Rafiq Sandelvi

;

ana ko KHud par sawar main ne nahin kiya tha
tumhaare pichhe se war main ne nahin kiya tha

wo KHud gira tha lahu-faroshi ki pastiyon mein
use nahif o nazar main ne nahin kiya tha

pake hue phal hi toDe the main ne Tahniyon se
shajar ko be-barg-o-bar main ne nahin kiya tha

nishana bandha tha aashiyanon ki samt lekin
koi parinda shikar main ne nahin kiya tha

kuchh is qadar the hawas gum-sum ki waqt-e-hijrat
bilakte bachchon ko pyar main ne nahin kiya tha

mere masail to KHud-ba-KHud hi sulajh gae the
kahin bhi soch-o-bichaar main ne nahin kiya tha