ana hawas ki dukanon mein aa ke baiTh gai
ajib maina hai shikron mein aa ke baiTh gai
jaga raha hai zamana magar nahin khultin
kahan ki nind in aankhon mein aa ke baiTh gai
wo faKHta jo mujhe dekhte hi uDti thi
baDe saliqe se bachchon mein aa ke baiTh gai
tamam talKHiyan saghar mein raqs karne lagin
tamam gard kitabon mein aa ke baiTh gai
tamam shahr mein mauzu-e-guftugu hai yahi
ki shahzadi ghulamon mein aa ke baiTh gai
nahin thi dusri koi jagah bhi chhupne ki
hamari umr khilaunon mein aa ke baiTh gai
uTho ki os ki bunden jaga rahi hain tumhein
chalo ki dhup darichon mein aa ke baiTh gai
chali thi dekhne suraj ki bad-mizaji ko
magar ye os bhi phulon mein aa ke baiTh gai
tujhe main kaise bataun ki sham hote hi
udasi kamre ke taqon mein aa ke baiTh gai
Ghazal
Ana hawas ki dukanon mein aa ke baiTh gai
Munawwar Rana