amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di
to ye samjho ki buniyaad-e-KHarabaat-e-mughan rakh di
kahun kya pesh-e-zahid kyun sharab-e-arghawan rakh di
meri taufiq jo kuchh thi barae mehman rakh di
yahan tak to nibhaya main ne tark-e-mai-parasti ko
ki pine ko uTha li aur lin angDaiyan rakh di
janab-e-shaiKH mai-KHane mein baiThe hain barahna-sar
ab un se kaun puchhe aap ne pagDi kahan rakh di
tumhein parwa na ho mujh ko to jins-e-dil ki parwa hai
kahan DhunDun kahan phenki kahan dekhun kahan rakh di
laga lenge use ahl-e-wafa be-shubah aankhon se
agar pa-e-adu par us ne KHak-e-astan rakh di
idhar par noch kar Dala qafas mein uf re bedardi
udhar ek jalti chingari miyan-e-ashiyan rakh di
zamir us ka Dubo dega use aab-e-KHajalat mein
wafadari ki tohmat ghair par kyun bad-guman rakh di
hawas masti ki 'sail' ko nahin kafi hai thoDi si
pyale mein agar pas-KHurda-e-pir-e-mughan rakh di
Ghazal
Amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di
Saail Dehlvi