اردو हिंदी
Altaf bayan hon kab humse ai jaan tumhaari surat ke | Shaahi Shayari
altaf bayan hon kab humse ai jaan tumhaari surat ke

Ghazal

Altaf bayan hon kab humse ai jaan tumhaari surat ke

Nazeer Akbarabadi

;

altaf bayan hon kab hum se ai jaan tumhaari surat ke
hain lakhon apni aankhon par ehsan tumhaari surat ke

munh dekhe ki ye baat nahin sach puchho to ab duniya mein
behosh kare hain pariyon ko insan tumhaari surat ke

aaina-ruKHon ki mahfil mein jis waqt ayan tum hote ho
sab aaina san rah jate hain hairan tumhaari surat ke

kuchh kahne par mauquf nahin malum abhi ho jawega
KHurshid muqabil ho dekhe ek aan tumhaari surat ke

ki arz 'nazir' ek bose ki jab hans kar chanchal bola yun
is munh se bosa lijiyega qurban tumhaari surat ke