alfaz narm ho gae lahje badal gae
lagta hai zalimon ke irade badal gae
ye faeda zarur hua ehtijaj se
jo Dho rahe the hum ko wo kandhe badal gae
ab KHushbuon ke nam pate DhunDte phiro
mahfil mein laDkiyon ke dupaTTe badal gae
ye sarkashi kahan hai hamare KHamir mein
lagta hai aspatal mein bachche badal gae
kuchh log hain jo jhel rahe hain musibaten
kuchh log hain jo waqt se pahle badal gae
mujh ko meri pasand ka same to mil gaya
lekin ghazal ke sare hawale badal gae
Ghazal
Alfaz narm ho gae lahje badal gae
Shakeel Jamali