اردو हिंदी
Alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein | Shaahi Shayari
alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein

Ghazal

Alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein

Ghalib Irfan

;

alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein
dekha hai main ne akasr be-jaan aaine mein

kamre mein raqs karti chalti hain jab hawaen
kuchh aks bolte hain har aan aaine mein

hoga kisi ka chehra pahchan ki lagan mein
hongi kisi ki aankhen hairan aaine mein

tahzib ka tasallut hai aaine se bahar
tariKH ke safar ka wijdan aaine mein

rangon ki barishon se dhundla gaya hai manzar
aaya hua hai koi tufan aaine mein

zinda haqiqaton ki hoti hai parda-poshi
palti hai jab raunat nadan aaine mein

ho raushni ki zulmat sahra ho ya samundar
hota hai zindagi ka 'irfan' aaine mein