alag alag tasiren in ki, ashkon ke jo dhaare hain
ishq mein Tapken to hain moti, nafrat mein angare hain
tum se mil kar khil uThta tha, tum se chhuT ke phika hun
ai rangrez mere chehre ke sare rang tumhaare hain
garmi ki lu mein tapne ke baad hi pani ka hai maza
tujh ko jitna aasan tha, hum jaan ke tujh ko haare hain
ai purwai meri KHushbu us chaukhaT ke dam se hai
tu bhi guzar ke dekh jahan main ne kuchh lamhe guzare hain
munh se batao ya na batao tum hum ko dil ki baaten
jaan-e-man ye nain tumhaare, ye jasus hamare hain
aisi baat milan mein kab hogi jaisi is pal mein hai
sab ke bich mein main hun, wo hai or KHamosh ishaare hain
tere munh par teri hum ne kabhi na ki tarif zara
likhne baiThe to kaghaz par rakh diye chand sitare hain
Ghazal
Alag alag tasiren in ki, ashkon ke jo dhaare hain
Ajmal Siddiqi