alawa ek chubhan ke kya hai KHud se rabta mera
bikhar jata hai mujh mein TuT ke har aaina mera
ulajh ke mujh mein apne-ap ko suljha raha hai jo
na jaane KHatm kar baiThe kahan par silsila mera
mujhe chakhte hi kho baiTha wo jannat apne KHwabon ki
bahut milta hua tha zindagi se zaiqa mera
main kal aur aaj mein hael koi nadida waqfa hun
mere KHwabon se napa ja raha hai fasla mera
wo kaisa shahr tha manus bhi tha ajnabi bhi tha
ki jis ki ek gali mein kho gaya mujh se pata mera
palaT aata hai har din ghar ki jaanib sham Dhalte hi
kisi be-nam basti se guzar ke rasta mera
ye main hun ya mera saya mera saya hai ya main hun
ajab si dhund mein lipTa hua hai hafiza mera
hansi aai thi apni bebasi par ek din mujh ko
abhi tak gunjta hai mere andar qahqaha mera
Ghazal
Alawa ek chubhan ke kya hai KHud se rabta mera
Aziz Bano Darab Wafa