aksar zamin se uD ke falak par gaya hun main
mushkil tha ye kamal magar kar gaya hun main
main jaanta tha hogi na mujh par nazar kabhi
mahfil mein un ki phir bhi barabar gaya hun main
patthar tarash kar ke to ishwar bana diya
apne hi shahkar se kyun Dar gaya hun main
raushan kiya hai main ne hamesha wafa ka nam
dar-o-rasan ki samt bhi aksar gaya hun main
Toka har ek gam pe mere zamir ne
jab bhi hudud-e-shauq ke bahar gaya hun main
maqtal ka haal dekha hai main ne qarib se
kuche mein qatilon ke bhi aksar gaya hun main
ehsas mujh ko itna bhi ab to nahin 'nawab'
main ji raha hun aaj bhi ki mar gaya hun main
Ghazal
Aksar zamin se uD ke falak par gaya hun main
Nawab Shahabadi