aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka
garm-e-safar hai qaz-e-qafila sail-e-rawan hai tiron ka
kaTe hue kheton ki munDeron par abrak ki zangari
thaki hui miTTi ke sahaare Dher laga hai hiron ka
tez qalam kirnon ne banae hain kya kya hairat paikar
jhil ke Thahre hue pani par naqsh utra taswiron ka
kya kuchh dil ki KHakistar par likh ke gai hai mauj-e-hawa
paDhne wala koi nahin hai in miTti tahriron ka
reg-e-nafas ka zaiqa munh mein gard-e-mah-o-sal aankhon mein
main hun 'zeb' aur chaar taraf ek sahra hai tabiron ka
Ghazal
Aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka
Zeb Ghauri