aks bhi arsa-e-hairan mein rakkha hua hai
kaun ye aaina-ru dhyan mein rakkha hua hai
sham ki sham se sargoshi suni thi ek bar
bas tabhi se tujhe imkan mein rakkha hua hai
han tere zikr pe ik, kaT si uThti hai abhi
han abhi dil tere bohran mein rakkha hua hai
ek hi aag mein jalna to zaruri bhi nahin
han magar chehra wahi dhyan mein rakkha hua hai
rabte us se sabhi toD ke yaad aaya hai
aaKHiri wada to saman mein rakkha hua hai
ras aata hi nahin koi talluq 'nahid'
dil-e-KHush-fahm magar man mein rakkha hua hai

Ghazal
Aks bhi arsa-e-hairan mein rakkha hua hai
Naheed Virk