اردو हिंदी
AKHir-e-shab sard rakh chulhe ki jhaD laen | Shaahi Shayari
aKHir-e-shab sard rakh chulhe ki jhaD laen

Ghazal

AKHir-e-shab sard rakh chulhe ki jhaD laen

Sabir

;

aKHir-e-shab sard rakh chulhe ki jhaD laen
tumhaari yaadon ke aaine phir se jagmagaen

gali ke nukkaD par ab nahin hai wo shor phaila
bhalai is mein hai zaiqe hum bhi bhul jaen

rakhe rakhe ho gae purane tamam rishte
kahan kisi ajnabi se rishta naya banaen

wo hansi aankhen jalae deti hain jaan hamari
nawah-e-jaan mein ghubar-e-ah-o-buka uDaen

hamari sab laghzishen hain mahfuz Diary mein
tabhi to hain muddai ki kam kam mili sazaen