akela din hai koi aur na tanha raat hoti hai
main jis pal se guzarta hun mohabbat sath hoti hai
teri aawaz ko is shahr ki lahren tarasti hain
ghalat number milata hun to pahron baat hoti hai
saron par KHauf-e-ruswai ki chadar tan lete ho
tumhaare waste rangon ki jab barsat hoti hai
kahin chiDiyan chahakti hain kahin kaliyan chaTakti hain
magar mere makan se aasman tak raat hoti hai
kise aabaad samjhun kis ka shahr-ashob likhun main
jahan shahron ki yaksan surat-e-haalat hoti hai
Ghazal
Akela din hai koi aur na tanha raat hoti hai
Ghulam Mohammad Qasir