ajnabi sa ek sitara hun main sayyaron ke bich
ek juda kirdar hun apne hi kirdaron ke bich
phir rahi hun be-sabab pagal hawa si ja-ba-ja
dhund mein lipTe hue KHamosh kohsaron ke bich
is hisar-e-KHak ko jab toD kar niklungi main
DhunDte rah jaoge tum mujh ko diwaron ke bich
kuchh kaDe Takrao de jati hai aksar raushni
jun chamak uThti hai koi barq talwaron ke bech
shakl ye behtar hai lekin puKHtagi ke waste
aao miTi ko rakhen kuchh der angaron ke bich
Ghazal
Ajnabi sa ek sitara hun main sayyaron ke bich
Aleena Itrat