ajnabi KHwahishen sine mein daba bhi na sakun
aise ziddi hain parinde ki uDa bhi na sakun
phunk Dalunga kisi roz main dil ki duniya
ye tera KHat to nahin hai ki jila bhi na sakun
meri ghairat bhi koi shai hai ki mahfil mein mujhe
us ne is tarah bulaya hai ki ja bhi na sakun
phal to sab mere daraKHton ke pake hain lekin
itni kamzor hain shaKHen ki hila bhi na sakun
ek na ek roz kahin DhunD hi lunga tujh ko
Thokaren zahr nahin hain ki main kha bhi na sakun
Ghazal
Ajnabi KHwahishen sine mein daba bhi na sakun
Rahat Indori