ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin
jo yahan aabaad hain un par bhi ghar khulta nahin
raste kab gard ho jate hain aur manzil sarab
har musafir par tilism-e-rahguzar khulta nahin
dekhne wale taghaful kar-farma hai abhi
wo daricha khul gaya husn-e-nazar khulta nahin
jaane kyun teri taraf se dil ko dhaDka hi raha
is takalluf se to koi nama-bar khulta nahin
intizar aur dastakon ke darmiyan kaTti hai umr
itni aasani se to bab-e-hunar khulta nahin
hum bhi us ke sath gardish mein hain barson se 'salim'
jo sitara sath rahta hai magar khulta nahin
Ghazal
Ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin
Saleem Kausar