ajib tarz-e-taKHatub rawa hua ab ke
KHulus lahjon se yaksar juda hua ab ke
guzashta rut ki tarah ahd mat bhula dena
pukarta hai ye kamra saja hua ab ke
hamein to yaad bahut aaya mausam-e-gul mein
wo surKH phul sa chehra khila hua ab ke
Thahar, Thahar ke guzarta hai zard mausam bhi
hamein to jina bhi jaise saza hua ab ke
na phul mahke na sabza uga na barf giri
tumhaara kahna hi yaro baja hua ab ke
Ghazal
Ajib tarz-e-taKHatub rawa hua ab ke
Marghoob Ali